Saturday, May 7, 2011

MAA

Do Shabdo se Bana hai Ek Mandir
Jisme Rahti Hai Meri "Maa"

Mamta Aanshu Aur Khushi ke
Aaine mein Jhalakti Hai meri "Maa"

Mujhse Ye na Puchcho
Kahan Rahti Hai Meri "Maa"

Mere Dil ki Geharaiyon Me
Basti Hai Meri "Maa"

Dhundhali Aankho ki Tasveer Mein Bhi
Jhalakti Hain Meri "Maa"

Jo Shabd Bole bhi na ho
Use kah deti thi Meri "Maa"

Zindagi ke Har Aahsaas Mein
Sabse Pass Rahti thi meri "Maa"

Mujhe Sabse Jyada Samjhati thi
Meri "Maa" !!!!

Jo Shabd Kah Bhi na Paun Use
Aankho mein Talash Leti Thi meri "Maa"

Mere Har marz Ki
Dua Hoti thi Meri "Maa"

Hatho Me Hath Lekar
Jab Sulati Thi meri "Maa"

Duniya ki Saari Jannat
Dikhati Thi Meri "Maa"

Mujhe Sahi Manzil ki Disha
Dikhati Thi Meri "Maa"

Mere Kadam Ko Dagmagane se
Bachati Thi meri "Maa"

Mujhse Ye Na Puchho
Kahan Rahti hai meri "Maa"

Mere Dil Ki Geharaiyon Mein
Basti Hai meri "Maa"

Sabki Aankho Ka Noor Hoti hai '"Maa'"
Jisase Naa Rah sake Koi Door Wo hoti hai '"Maa'"


 Maa wo hai jo hamare dil ke sabse kareeb hoti hai aur unki kami koi puri nahi kar sakta.

No comments:

Post a Comment